#harshadmehta #scam1992 #buytoday #btst #stockbrokers #tradingapps #covid19 #covidvaccine #finance #influencers #adigitalblogger
Buy Today Sell Tomorrow (BTST)
Harshad Mehta ke samay toh stock market ke settlement period 15 din ka hota tha, isiliye wo itna bada scam kar paya, lekin ab ye settlement 2 din me hota hai, jisse T+2 kehte hai, lekin agar hume shares ko 2 din se pehle kharid kar bhechna ho toh, toh uske liye hota hai BTST yaani Buy Today Sell Tomorrow,
BTST bhi ek trading type hai jaise intraday ya delivery jisse Acquire today sell tomorrow bhi kehte hai jisme hum shares ko aaj kharid kar kal yaani agle din wapas market me sell kar sakte hai,
BTST ke kayin benefits hain jaise isme shares depository ke paas shares store nahi hote isilye hume DP charges nahi dene padte, BTST me hum market ki short term volatility se profit earn kar sakte hain aur aap apne intraday trade ko bhi BTST me convert kar loss ko profit me badal sakte hain,
BTST ke kuch nuksaan bhi hai jaise agar aapke trading account me BTST trade ke liye balance low hai toh aapko margin penalty pay karni pad sakti hai aur saath hi agar apka broker time par shares ki delivery nahi karta hai toh usse time par wapas sell na karne ke liye aap ke upar penalty lag sakti hai,
Toh ab agar aapko lagta hai ki koi share kaafi volatile chal raha hai toh usme BTST trade kar aap munafa kama sakte hai aur stock ki volitality kaise dekhte hai ye seekhne ke liye abhi stock pathshala app download karen.
Ещё видео!