POET: Allama Muhammad Iqbal
1877 - 1938 | Lahore, Pakistan
NAZAM: Shama-o-Parwana
Parwana Tujh Se Karta Hai Ae Shama! Pyar Kyun
Ye Jaan-e-Be-Qarar Hai Tujh Par Nisar Kyun
Seemabwaar Rakhti Hai Teri Ada Isse
Adab-e-Ishq Tu Ne Sikhaye Hain Kya Isse?
Karta Hai Ye Tawaf-e-Teri Jalwagah Ka
Phoonka Huwa Hai Kya Teri Barq-e-Nigah Ka?
Azaar-e-Mout Mein Isse Aram-e-Jaan Hai Kya?
Shaole Mein Tere Zindagi-e-Javidan Hai Kya?
Ghumkhana-e-Jahan Mein Jo Teri Zia Na Ho
Iss Tafta Dil Ka Nakhle-e-Tamana Hara Na Ho
Girna Tere Huzoor Mein Iss Ki Namaz Hai
Nanhe Se Dil Mein Lazzat-e-Souz-o-Gudaz Hai
Kuch Iss Mein Josh-e-Ashiq-e-Husn-e-Qadeem Hai
Chota Sa Toor Tu, Ye Zara Sa Kaleem Hai
Parwana, Aur Zauq-e-Tamashaye Roshni
Keera Zara Sa, Aur Tamanaye Roshni!
#Poetry
#AllamaIqbal
#SadPoetry
#UrduShayari
#HindiShayari
#HindiPoetry
Ahmad Faraz, Ahmad Faraz Poetry, Ahmad Faraz Whatsapp Status Poetry,Jaun Elia, Jaun Elia Sad Urdu Poetry, Tehzeeb Hafi Tehzeeb Hafi Mushaira Tehzeeb Hafi Rekhta, Ali Zaryoun, Ali Zaryoun Whatsapp Status
Sad Love WhatsApp Status, New Poetry 2019, Sad Poetry Collection,
Sad WhatsApp Status Love Sad Status Emotional WhatsApp Status Love Status Sad
Ещё видео!