4 Moharram 2024 | Noha 2024 | Bachchon Muaf Karna 2024
Anjuman Sipah-e-Hussaini - Bhanauli Sadat 2024/1446 | Noha Aon-o-Mohammad 2023
Bachon Muaf Karna | बच्चों मुआफ करना | بچوں معاف کرنا
Poet- Nadeem Abbas (Nephew of Syed Waiz Hasan Sultanpuri)
Recited by- Anjuman Sipah-e-Hussaini - Bhanauli Sadat
Sangat- Zuhair Abbas Sultanpuri, Abutalib Sultanpuri, Anzar Husain, Nadeem Abbas, Mohammadx2
Lyrics Bachon Muaf Karna :
Azadaron aaj ek ghamzada maa ko unke bachon ka pursa pesh karna hai jisne kabhi apne bachon pe giriya na kiya. Magar ye shahzadi ek maqam wo aata hai ki apne bachon ko yaad kar k bekarar hoke roti hain. Jab ye kafela karbala se madine pohcha janabe zainab s.a apne ghar me dakhil hui toh do chote-chote bistar nazar aaye.
Janabe Zainab s.a ne Karbala ka rukh kar k kaha aye Aun-o-Mohammad mujhe maaf kar dena mai tumpe giriya na kar saki...
Jab yaad aye bete zainab ye boli roker
Bachon muaf karna
Rone na pai tumpar ye badnasseb madar
Bachon muaf karna x2
1.
Shabash mere sheron amma ki laaj rakh li
Dariya pe bhi pahuch kay tumne piya na pani
Aye mere mohammad, aye mere aon, aye mere dularon
Shabash mere sheron amma ki laaj rakh li
Dariya pe bhi pahuch kay tumne piya na pani
Aye mere chand taron qurban jaun tumpar
Bachon muaf karna
Rone na pai tumpar ye badnasseb madar
Bachon muaf karna x2
2.
Tum hi batao pyaro roti mai tumpe kaise
Tukde bine hasan kay dil ko hila rahe
Aye mere mohammad, aye mere aon, aye mere dularon
Tum hi batao pyaro roti mai tumpe kaise
Tukde bine hasan kay dil ko hila rahe
Mai bhool jati kaise wo dardnaak manzar
Bachon muaf karna
Rone na pai tumpar ye badnasseb madar
Bachon muaf karna x2
3.
Jis naujawan ko maine aththarah saal pala
Dekha sena me uska uljha hua kaleja
Aye mere mohammad, aye mere aon, aye mere dularon
Jis naujawan ko maine aththarah saal pala
Dekha sena me uska uljha hua kaleja
Fursat na de rahi thi ek pal bhi yaad-e-akbar
Bachon muaf karna
Rone na pai tumpar ye badnasseb madar
Bachon muaf karna x2
4.
Gurbat me jo gareeb-e-zahra ka aasra the
Kaate gye wo bazu abbas-e-bawafa kay
Aye mere mohammad, aye mere aon, aye mere dularon
Gurbat me jo gareeb-e-zahra ka aasra the
Kaate gye wo bazu abbas-e-bawafa kay
Abbas ki judai thi koohe dard mujhpar
Bachon muaf karna
Rone na pai tumpar ye badnaseeb madar
Bachon muaf karna x2
5.
Waali ka mere sar pe saaya hai ab bhi baki
Bhabhi rabab ki to duniya ujad chuki thi
Aye mere mohammad, aye mere aon, aye mere dularon
Waali ka mere sar pe saaya hai ab bhi baki
Bhabhi rabab ki to duniya ujad chuki thi
Pursa mai unko deti ya bain karti tumpar
Bachon muaf karna
Rone na pai tumpar ye badnaseeb madar
Bachon muaf karna x2
6.
Shayed Nadeem us dam bachon ne ye kaha ho
Ham jante hain amma guzri hai aap pe jo x2
Sharminda ham ko keeje na aap ab ye kahkar
Bachon muaf karna
Rone na pai tumpar ye badnaseeb madar
Bachon muaf karna x2
Access-:
Azadari
Nauha bachchon muaf karna
Anjuman sipah-e-hussaini, bhanauli sadat
Bhanauli sadat nohay 2024
Waiz Hasan Sultanpuri
Nadeem Abbas
Noha 2024
#aonmohammad #newnoha2024 #nohay2024 #noha2024 #azadaribhanauli
►Social Media:-
Subscribe : [ Ссылка ]
Want to chat? Hit me up on social media!
Instagram: [ Ссылка ]
Facebook: [ Ссылка ]
Ещё видео!