Noha Ayyam E Fatima 2023 | جا رہی ہیں فاطمہۜ | Nohay Bibi Fatima 2024
#AyyamEFatima #FatimaZahraNoha #AyyamEFatima2024 #BibiFatima #Noha2024
Video Info -
Title | Jaa Rahi Hai Fatima s.u.a
Reciter | Zain&Arham
Kalam | Nadeem Sultanpuri
Video | @Ansaraan_e_imamHussain.bilgram
#NohaShahadatBibiFatima #NewNohaBibiFatima #AyyamEFatimaNoha2025 #BibiFatimaZahra #BibiFatimaNoha #NewNoha #nohabibifatima #AyyamEFatima
#shahadatbibifatima #ayyamefatima #bibifatimanoha #noha2024 #nohafatimazahra
Lyrics
Andheri Rat Hai Aur Siskiyaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Hai Bachcho Ki Nigaho'n Me Dhua'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Ye Ghurbat Aur Esi Be Kassi Zamane Me Na Dekhi Hai Kahin
Hai Maa Ki Aakhri Rukhsat Magar Ye Bachche Khul Ke Ro Sakte Nahi'n
Kathin Hai Sabar Ka Ye Imtehaan Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Andheri Rat Hai Aur Siskiyaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Hai Dil Besakhta Giriya Kuna Magar Aansu Chupate Hai Ali (A.S.)
Kabhi Zainab (S.A.), Kabhi Kulsoom (S.A.) Ko Kaleje Se Lagate Hain Ali (A.S.)
Sulagta Hai Jigar, Chup Hai Zubaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Andheri Rat Hai Aur Siskiyaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Katega Dard Ke Khanjar Se Dil, Chubhan Hogi Na Kam Ta Zindagi
Khuda Ke Sher Ko Ab Rat Din Rulaye Ga Ye Gham Ta Zindagi
Shikam Me Kho Ke Ek Nanni Se Jaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Andheri Rat Hai Aur Siskiyaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Sitam Ummat Ne Ye Kaisa Kiya, Duhai Ya Mohammad Mustafa (S.A.W.)
Musalmano Ne Ahle Bait (A.S.) Ko Kiya Ajar E Risalat Yoo'n Ada
Liye Apni Shikasta Pasliyaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Andheri Rat Hai Aur Siskiyaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Larazte Hain Zamee'n O Aasmaa'n, Juda Madar Se Hote Hain Husain (A.S.)
Tadap Jati Hai Mayyat Us Ghadi, Jab Amma Kehke Rote Hain Husain (A.S.)
Qayamat Hai Qayamat Ye Samaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Andheri Rat Hai Aur Siskiyaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Jab Chali Fatima Zahra (S.A.) Ki Sawari Ghar Se
Khaak Par Gir Gayi, Sambhla Na Gya Dukhtar Se
Apna Sar Pit Ke Zainab (S.A.) Ne Kaha Madar Se
Alwida Aye Meri Dukhiya Amma
Alwida Pehlu Shikasta Amma
Aapki Yaad Bohot Aaye Gi
Bekasi Aapki Tadpaaye Gi
Dil Se Hoga Na Juda Aap Ka Gham
Yaad Aaye Ga Wo Har Ek Sitam
Kaise Baalo Me Safedi Aayi
Kaise Kamzor Hui Binai
Kaise Darbaar Me Jane Se Hua Zakhmi Jigar
Kaise Kham Ho Gayi 18 Baras Me Hi Kamar
Main Na Bhulungi Kabhi Bhi Wo Zamana Amma
Aapka Lot Ke Darbaar Se Aana Amma
Sab Se Chhup Chhup Ke Wo Ashko Ka Bahana Amma
Neel Wo Aap Ke Rukhsaro Ke
Yaad Reh Reh Ke Mujhko Aayenge
Jalta Darwaza Nahi Bhulungi
Waar Qunfuz ( لع) Ka Nahi Bhulungi
Aapki Yaad Me Sulgega Kaleja Mera
Alwida Pehlu Shikasta Amma
Fata Jata Hai Zainab (S.A.) Ka Jigar, Nigaho'n Me Andhera Chha Gya
Katenge Rat Din Ro Ro Ke, Ab Tadapne Ka Zamana Aagya
Milegi Ab Kaha'n Beti Ko Maa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Andheri Rat Hai Aur Siskiyaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Nadeem O Ayelia Kya Ho Bayan Mohammad Ki Dulari Ka Safar
Janaza Leke Kandhe Par Chale Ali (A.S.) Ke Sath Zahra (S.A.) Ke Pisar
Tadapti Hain Ali (A.S.) Ki Batiyaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Andheri Rat Hai Aur Siskiyaa'n Ja Rhi Hain Fatima (S.A.)
Welcome to
Ansaraan-e-Imamhussain(as)Bilgram
WhatsApp : 9235503564
Youtube : / @ansaraan_e_imamhussai...
Live telecast, Live Shoot, Majlis, Matam, Mehfil, Marsiya Etc,
Copyright Disclaimer
Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.
Ещё видео!