This video is a beautiful Sufism Zikr or Dhikr motivational video Another good informative video about, Allah Ka Zikr Sab Se Bara Hai In Urdu And Hindi. Zikr is also spelled Dhikr, Zikar, or Thikr literally meaning "remember, remembrance, reminder" or "mention, reminding oneself") In Islam, Zikr is a form of meditation in which the personal name of God is repeatedly mentioned in order to remember God in the heart. Allah Ka Zikr Is Also Known as "Zikr Allah, Zikr e Ilahi, remembrance of Allah, remember God, remember Allah, reminding Allah, And Zikr of Allah, Allah Hoo Ka Zikr, Zaati Zikr").
-Allah Ka Zikr Jo Hai Ye Sab Se Buland Hai, Allah Ka Zaati Zikr Sab Ze Buland Hai, Zaat Kya Hai? "Allah" Aur Ism e Allah Hoo Ka Zikr Sab Se Buland Aur Bara Hai. Hazrat Sakhi Sultan Bahoo (R.A) Farmate Hain Ke Talib Ko Chahiye Ke Wo Ism e Allah Hoo Mein Mashghol Rahe. Yani Khuda Ka Jo Zaati Naam Hai "Allah" Rab Ka Zaati Naam, Isi Mein Mashghol Rahe, Tasawur Kare Ke Dil Par Lafz "Allah" Likha Howa Hai, Aur Dil Ki Dharkan Mein Parhe "Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo" Jo Ism e Zaat Allah Nazar Ata Hai Qalb Ke Opar To Phir Us Harf "Allah" Se Tajaliyat Zahir Hoti Hain. Jab Tajaliyat Parti Hai To Banda Allah Ki Mohabbat Mein Itna Mast Ho Jata Hai, Ke Na Us Ko Duniya Yad Rehti Hai Na Us Ko Jannat Yad Rehti Hai.
-Wo Allah Ki Mohabbat Mein Mast Ho Jata Hai Jo "Allah Ka Zikr" Karta Hai. Isi Waja Se Hi Islam Mein Quran Aur Hadith Mein Kaha Gaya Hai Ke Allah Ka Zikr Sab Se Buland Hai, Allah Ka Zikr Sab Se Bara Hai. Jo Lafz "Allah Hoo Ka Zikr" Karta Hai, Ye Zaati Zikr Karta Hai, Aur Zaati Zikr, Zaat Ki Mohabbat Ata karta Hai. Aik Hadith Hai Ke Allah Ka Zikr Aise Karo Ke Apne Ap Ko Bhi Bhool Jao, Quran Mein Allah Farmata Hai Ke, Allah Ka Zikr Itni Kasrat Se Karo Ke Log Tumhain Dewana Kahen. Data Ali Hijviri (R.A) Farmate Hain Ke Agar Apne Ap Ko Yad Rakho Gay To Allah Ko Yaad Nahi Rakh Pao Gay. To Ism e Zaat Ka Zikr Wo Zikr Hai Jo Allah Ki Zaat Ke Ilawa Har Zaat Se Beniyaz Kar Deta Hai. To Allah Ka Zikr Sab Se Bara Hai Koshish Kiya Karo Ke Mere Dosto Apne Dil Ki Dharkanon Ke Sath Allah Ka Zikr Kiya Karo. #AllahKaZikr #ZikrAllah #FikarEIqbal
More Related Videos Vist For
[ Ссылка ]
[ Ссылка ]
[ Ссылка ]
Allah Ka Zikr Sab Se Bara Hai
Теги
allah ka zikrzikrdhikrallahzikr allahdhikr allahthikrzikarzikr of allahrememberremembranceremindermentionreminding oneselfmeditationGodallah hoo ka zikrremember Godremember Allahzaati zikrreminding Allahremembrance of Allahzikr e ilahiism e allahism e zaatallah ki mohabbatislammuslimfikar e iqbaladv zuhaib hafeezallah ka zikr sab se bara haialla ka zikr sab se buland haisufism zikrzikr sab se bara haisabsebarahai