Sad Poetry Of Shahzad Ahmad
Recital Ahsan Shakeel
Purane doston se ab murawwat chhor di hum ne
Muazzaz ho gae hum bhi sharafat chhor di hum ne
Mayassar aa chuki hai sar-bulandi mud ke kyun dekhen
Imamat mil gai hum ko to ummat chhor di hum ne
Kise malum kya hoga maal aainda naslon ka
Jawan ho kar buzurgon ki riwayat chhor di hum ne
Ye mulk apna hai aur is mulk ki sarkar apni hai
Mili hai naukri jab se baghawat chhor di hum ne
Hai utna waqia us se na milne ki qasam kha li
Tassuf is qadar goya wazarat chhor di hum ne
Karen kya ye bala apne liye khud muntakhab ki hai
Gila baqi raha lekin shikayat chhor di hum ne
Sitare is qadar dekhe ki aankhen bujh gain apni
Mohabbat is qadar kar li mohabbat chhor di hum ne
Jo socha hai azizon ki samajh mein aa nahin sakta
Shararat ab ke ye ki hai shararat chhor di hum ne
Ulajh padte agar to hum mein tum mein farq kya rahta
Yahi diwar baqi thi salamat chhor di hum ne
Gunahgaron mein shamil muddai bhi aur mulzim bhi
Tera insaf dekha aur adalat chhor di hum ne
Subscribe To Our Channel For More Sad Poetry Videos
►► Facebook : [ Ссылка ]
►► Instagram : [ Ссылка ]
►► Twitter : [ Ссылка ]
For Business inquiry or Fan Mail
Call or WhatsApp: +92 331 4872455
Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.
Ещё видео!