SUBSCRIBE [ Ссылка ]
Hum ko bulana Ya Rasulallah
Hum ko bulana Ya Habiballah
Kabhi to subz gumbad ka ujala hum bhi dekhein ge
hamein bulwaein ge aaqa madina hum bhi dekhaein ge
Dharak uthe ga ye dil ya dharkna bhool jaae ga
dil e bismil ka us dur pur tamasha hum bhi dekhein ge
Adab se haath baande un ke roze pur khare hon ge
sunehri jaaliyon ka yun nazara hum bhi dekhein ge
Dar e dolat se lotaya nahi jaata koi khali
wahan khairat ka butna khudara hum bhi dekhein ge
Barasti gumbad e khuzra se takrati hui boondein
wahan pur shan se baarish barasna hum bhi dekhein ge
Guzare raat din apne issi ummeed pur hum ne
kisi din to jamal e roo e zeba hum bhi dekhein ge
Dum e rukhsat qadam mun bhar ke hain mehsoos karte hain
kise hai jaa ke lot aane ka yaara hum bhi dekhein ge
Pohonch jaaein ge jis din ae ujagur un ke qadmon mein
kise kehtein hain jannat ka nazara hum bhi dekhein ge
Hum ko bulana Ya Rasulallah
Ещё видео!