A Genuine token of gratitude to My Love - My Art and That's How i Wanted to Start My New Year.Enjoy
Happy New Year 2025
Prod. By AGRENIUS
Mastering by @gawdsanket
Everything Else by Yours Truly
Intro and outro Credits - @KaranAujlaOfficial from @ranveerallahbadia 's Podcast
Link to full podcast - [ Ссылка ]
Lyrics
Khuda laakho mein ek ko bakhse kalaa
Ek wo laakho ki bane dawa
Dardo ko harne ka harzaana bharta hai
Khud ke alawa na koi gawah
Chukaani toh padti hai keemat
Darakhto mein lagte hain deemak
Kulhaadi chaalake thakaa jab
Wahi sogya छांव गनीमत
Jalaane letaaoge mujhko toh
Sang mere rakhdena kaagaz kalam
Ya behtar kalam ko hi dedena agni
Aur kaagaz ko kehdena mera Qafan
Kyunki jiya hu jiske sahare main jeevan mein
Baahon mein uske hi marne ka mann
Mere apne nahi the mere usi pal se
Jaab ashko ka kandhe sahe nawazan
Main Mera Music hai dooja ni koi
Zinda ya margya? poochha ni koi
Khudse milata hai jode khuda se
Likhna ibaadat hai pooja ni koi
Main Mera Music hai dooja ni koi
Zinda ya margya? poochha ni koi
Khudse milata hai jode khuda se
Likhna ibaadat hai pooja ni koi
Kalam meri kanha ki lagti bansuri
Toh kabhi kabhi shiv ka lagti trishool
Ye rakhti saamrthya bhi jad se mitane ka
Karne ko pal mein krle vashiboot
Hai Saksham संजीवनी banane mein
Rakhe vajr k bhi saare guNn
Ye lagta hai Shiv se mila koi वर mujhe
Haathon mein thaamu jo usme निपुण
ये lga kai dafaa k Bana k bheja hai usne hi
Zariya koi apna mujhe
Hai aisa ni toh wajah do bta koi
विस्मय mein hota hoon kyu
Ke ye maine kaise likhe ?
Kyu hota hai aisa jo likhta hoon
Kehta hai koi usey zaroorat thi woi sunne ki?
Aisa hota hai kya jo kabhi haara hua tha
Abhi jeene ka sahara uski dhunn deti ?
Mujhe pta is aaj ko main yaad karunga
Jaise is aaj mein main kal mera yaad karu
Par purpose hai mera khaali itna hi
Kal ko main dekhu mera aaj toh main naaz karun
Mujhe Kasam hai kalaa ki kabhi socha ni k raaj karu
Karun toh dilon pe, ho dawaa si wo aawaz banu
Bhookh hai mashoori ki par itni bhi nahi
Ke main kalaa roopi Khuda ko naaraz karun
Main Mera Music hai dooja ni koi
Zinda ya margya? poochha ni koi
Khudse milata hai jode khuda se
Likhna ibaadat hai pooja ni koi
Main Mera Music hai dooja ni koi
Zinda ya margya? poochha ni koi
Khudse milata hai jode khuda se
Likhna ibaadat hai pooja ni koi
Andhe ki laathi, doobte ko tinka
Waise kalam meri jisse main Likhta
Kabhi kabhi aansu mein bahein jazbaat
Toh ye banti hai siyaahi lahoo mere dil ka
Andhera toh meri roshni ye
Milta ni khud ko toh khojti ye
Chhupta hoon jaa k jahan se jahan pe main
Pohanche na koi pohochti hai ye
Tha main haaraa har kisi se
Jab mili thi mujhe tu
Tune tukdo se wapas bnaake
Sonpi merii roooh
Meri parwaah meri tarah
Kare jo rabb se maanga tha
Kehte hue aansu hain tu aur main bilkul hoobahoo
Deke bhi dekha hai maans kaleje ka
Phir bhi niraash hua hoon main
Jeena main sabko sikhata hoon
Jaane tu pehle bhi laash hua hoon main
Nikla hoon tere sahare wahan se bhi
Khatra tha khudse jahan mujhe khud ko
Tu hi bta de mujhe kya galat hai
Bulata hoon rabb ka var agar tujhko ?
Ещё видео!