This video will help you to learn why book reading is important in our life. Book reading helps us in many ways. Let's learn benefits of book reading together. It is the Habit of Rich People and there are Surprising Advantages of Book Reading. Books can help in establishing a Productive Habits which play Role in person’s Success.
#WhyYouShouldReadBooks #BenefitOfReading #HowBookReadingIsHelpful
The One Key benefit of reading books is that you choose who you want to get advice from and take advantage of his words, mindset, ideas, and life experiences, which eventually makes you a similar person. Many books are available in the market, written by successful people, and waiting for people to read and get the advantage.
Famously said by George R.R. Martin
A READER LIVES A "THOUSAND" LIVES BEFORE HE DIES
THE MAN WHO NEVER READS LIVES ONLY "ONE "
Part 1: You = Your Friends - 00:00
Part 2: Make Friendship with Books - 02:07
English main aik famous saying he “You are the average of the five people you spend the most time with” Matlab apki adaat or behaviour (rawaiye) un logon jaisay hotay hain jin ke sath ap apna ziada time guzartay hain.
Ager apke qareeb tareen panch dost, waqt zaya kernay ke aadi hain or apna khyal nahi rakhtay;
Tu most probably ap bhi aisi hi honge.
Or Ager wo sari raat video games kheltay hain or perhayi per tawajja nahi detay;
Tu apke ke grades bhi achay anay ke chances kafi kam hain.
Liken ager apke dost rozana gym janay ke aadi hain (jana pasand kertay hain) or apni sehat or khoraak ka khyal rakhtay hain Tu is bat ka boht imkan he ke app ki sehat bhi average logon ke muqablay main kafi behter hogi.
Yaqeenan is main kuch exception mujood hain. Lekin aam tor per ye mana jata he keh ye baat kafi had tak dorost hai.
Or yahi waja he keh boht se kamiyab log apni kamiabi ka credit apnay teachers or friends ko bhi detay hain.
Jaisay ke
Martin Luther king; Gandhi ki non-violence policies se inspire tha
Mark Zuckerberg ka mentor Steve Jobs tha
OR Bill Gate or Warrant Buffet ki pechlay thees saal ki dosti is baat ki aik misaal he.
Jo log kamiyab hotay hain onke social circle main aik aisa shaakhs zaroor hota he jo pehlay hi boht ziada kamiyab ho.
Yaqeenan ap ye soch rahay honge keh, main kisi kamiyab shakhs ko nahi janta or mere saray dost bhi average hain.
Lekin, yaheen per tu books perhnay ka faida samnay ata he.
Jb app kitab perhtay hain tu darasal ap kisi insaan ke alfaaz, soch, zehniyat, mashwaray or sab se barh ker oski pori zindagi ka tajurba hasil ker rahay hotay hain.
Or yeh taqriban is ke mutaradif he jaise ke wo shakhs app se bat ker raha ho or app ko guide ker raha ho.
Aik research ke mutabiq (Thomas crawley ki research ke mutabiq) 85% self-made arab-pati log, mahinay main kam az kam 2 kitabain zaroor perhtay hain.
Kitab perhnay ka haqiqi faida ye he ke app khud choose kertay hain keh ap ne kis se muta’asir hona he or oski baton, soch or zindagi se faida uthana he, jo k ahista ahista apko osi tarah ka insan bana daiti he.
Kyunke jab app perhtay hain
tu app darasal likhnay walay ke zehn ki aik jhalak hasil ker laitay hain
Kamiyab logon ne mukhtalif shobon main boht si achi kitabain likhi hain or wo bazaron main beshtar mujood hain
mukhtalif shobon ki boht si aise kitbain mujood hain jo ke ko kamiyab logon likhi hain.
Or un ke ideas, mindset or alfaaz sab is bat ke muntazir hain ke log inko perh ker faida uthayain.
Jaise ke, ager app business ke baray main perhna chahtay hain tu Warren Buffet ko perhain, politics ke liye Martin Luther king ko, philosophy ke liye Aristotle ko or ager ap self development main interested hain tu Jim Rohn ya Darren Hardy ki kitabain or articles per nazar durayain.
Apko sirf itna kerna he ke inke likhay hoye alfaz ko samajh ker parhana he or apko onke ideas or soch ka bakhobi andaza ho jaye ga.
Basically, aisa kernay se ap apnay friend circle main naya dost shamil kertay hain.
Aik aisa dost jo ghalban ap se ziada samjhdar, aqal mand, khud mukhtar or ziada kamaiyab he
Or jab ap aisa kertay hain tu ap inke mindset or inki adaat ko apnana shoro ker daitay hain.
Kyunke insaan honay ke natay hum aik dosray ko copy kertay hain
Or yahi wo tareeqa he jo apko kamiyabi ki rah per gamzan kerta he.
Tu lehaza; Koshish karain keh khud ko kitabain perhnay ka aadi banayain.
Or kitabon ko boojh samajh ker nahi belke enjoy ker ke parhnay ki koshish karain.
--
This place is to feed your brain with edutainment videos. Videos are animated to amuse and entertain you while improving your knowledge and intelligence.
--
Insta: Instagram: [ Ссылка ]
Benefits Of READING BOOKS | Read Books | Urdu/Hindi
Теги
benefits of reading booksread booksbest books to readgood books to readmust read booksbook recommendationsbest business bookstop books to readlife changing bookswhy you should read books everydaywhy reading is importantmotisolbenefits of reading in urduscientific benefits of readingwhy read morewhy you should read bookswhy is reading importantimportance of readingwhy read everydaybenefits of reading books in urduWhy Book Reading Matters