The final moments between a father and a beloved daughter, Imam Hussain (as) and His Sakina (sa). Imagine a 4 year old and the turmoil they'd face knowing their father is leaving for battle and will not return. Bibi Sakina's final words with Mola Hussain (as).
Title- Bohat Roaygi Sakina
Reciters - Hashim Sisters
Poet - Khursheed Nigar
Composition - Hashim Sisters
Audio - Pure Vocal Studio, London
Album - Muharram 1441 (2019) - Vol.14
Imam Hussain (as) Noha
Bibi Sakina (sa) Noha
Lyrics -
Baba Teri judaai
Seh na paaegi Sakina
Bohot roeygi Sakina
Chillaeygi Sakina
Ghabraaeygi Sakina
1) Gherey huay hain humko kyun zalimo ke lashkar
Ammu bhi haye ran sey aaye nahin palat kar
Kya aap se bhi baba (x2)
Chut jaeye gi Sakina
2) Hum bekason ke upar hai zalimo ka pehra
Purhaul horaha hai karbobala ka sehra
Baad aap kay faqat ab (x2)
Ghum khaaey gi Sakina
3) Aye baba aapka to seena lahu lahu hai
Seenay pay aur soloon yeh meri aarzu hai
Aaraam sey kahan phir (x2)
So paaeygi Sakina
4) Bey rehem zalimon sey darr mujhko lag raha hai
Shiddat se tishnagi ki dill bhi sulag raha hai
Ab kissay koi shikwa (x2)
Karpaeygi Sakina
5) Hum kaisay bewatan hain ghurbat na raas aai
Bardasht hogi kaisay baba teri judaai
Be chaiyn dil ko kaisay (x2)
Behlaaegi Sakina
6) Dhaaeinge zulm aada is baat ka yaaqeen hai
Ammu madad ko aaeyn yeh aasra nahin hai
Ammu ko bhi yaqeenan (x2)
Yaad aaeygi Sakina
7) Asghar ke ghum mein amman be haal ho rahi hain
Barpa hai ik mehshar phupiyaan bhi ro rahi hain
Is haal mein na kyun kar (x2)
Ghabraey gi Sakina
8) Uljhan bohat hai dill mein kyun wehm aaraha hai
Jaisay koi sitamgar mujhko sataa raha hai
Darde jigar kisay ab (x2)
Batlaey gi Sakina
9) Bolay Hussain ro kar aaja meri Sakina
Aakar galay sey lag ja phat ta hai ghum se seena
Baba ko yaad teri (x2)
Tarpaey gi Sakina
10) Baba ko Karbala ka maidaan bula raha hai
Beti ko shamiyo ka zindaan bula raha hai
Bus zulm jhelne ko (x2)
Rehjaaey gi Sakina
11) Aye dukhtarane Hashim bolay yeh shahe vala
Kheime mein jaao bibi tujh ko khuda ko saunpa
Noha Nigaar phir bhi (x2)
Dohraey gi sakina
Ruqayyah bint Al-Ḥusayn (Arabic: رقـيـة بـنـت الـحـسـيـن)[2] (born on the 20th of Rajab, 56 AH – 5 Rabi' al-thani, 60 / 61 AH or 676 CE; died on the 13th of Safar, 60 / 61 AH or 680 / 681 CE),[1] was the daughter of Husayn ibn Ali and Rubab bint Imra al-Qais ibn Adi bin Aws.[3] Her brothers included Ali Zaynul-Abidin, Ali al-Akbar, and Ali al-Asghar. Her sisters included Fatimah as-Sughra and Fatimah al-Kubra.
#HashimSisters #Nohay2019 #BibiSakinaNoha2019
Ещё видео!