Deep jis ka mehllaat hi mein jaley,
Chand logon ki khushiyon ko le kar chaley,
Wo jo saaye mein har maslehat ke paley,
Aisey dastoor ko,
Sub-he-be-noor ko,
Main nahein maanta,
Main nahein jaanta.
Main bhi khaaif nahein takhta-e-daar se,
Main bhi Mansoor hoon, keh do aghyaar se,
Kyun daraatey ho zindaan ki deevar se,
Zulm ki baat ko,
Jehl ki raat ko,
Main nahein maanta,
Main nahein jaanta.
“Phool shaakhon pe khilne lagey” tum kaho,
“Jaam rindon ko milne lagey” tum kaho,
“Chaak seenon kay silne lagey” tum kaho,
Iss khule jhooth ko,
Zehn ki loot ko,
Main nahein maanta,
Main nahein jaanta.
Tum nay loota hai sadyon hamaara sukoon,
Ab na hum per chalega tumhara fasoon,
Charaagar dardmandon ke bantey ho kyun?
Tum nahein charaagar,
Koi maane magar,
Main nahein maanta,
Main nahein jaanta.
Ещё видео!