Nawab Mirza Khan Daagh Dehlvi (Urdu: نواب مرزا خان داغ دہلوی, 25 May 1831 – 17 March 1905) was a poet known for his Urdu ghazals. He belonged to the old Delhi school of Urdu poetry.
He wrote romantic and sensuous poems and ghazals in simple and chaste Urdu, minimising usage of Persian words. He laid great emphasis on the Urdu idiom and its usage. He wrote under the takhallus (Urdu word for nom de plume) Daagh Dehlvi (the meanings of Daagh, an Urdu noun, include stain, grief and taint while Dehlvi means belonging to or from Dehli or Delhi). He belonged to the Delhi school of thought.
His honorific Dabeer ud Dawla, Faseeh ul Mulk, Nawab Nizam Jang Bahadur, Sipah Salar, Yar-e-Wafadar, Muqrib-us-Sultan, Bulbul-e-Hindustan, Jahan Ustad, Nazim Yar Jung, were the titles bestowed upon him by the sixth Nizam of Hyderabad Mir Mahbub Ali Khan.
Bang-e-Dra :44
داغ
Dagh
Azmat-e-Ghalib Hai Ek Muddat Se Pewand-e-Zameen
Mehdi-e-Majrooh Hai Sheher-e-Khamoshan Ka Makeen
Tor Dali Mout Ne Ghurbat Mein Meenaye Ameer
Chashme-e-Mehfil Mein Hai Ab Tak Kaif-e-Sehbaye Ameer
Aaj Lekin Hum-Nawa! Sara Chaman Matam Mein Hai
Shama-e-Roshan Bujh Gyi, Bazm-e-Sukhan Matam Mein Hai
Bulbul-e-Dilli Ne Bandha Iss Chaman Mein Ashiyan
Hum Nawa Hain Sub Anadil Bagh-e-Hasti Ke Jahan
Chal Basa Dagh! Aah! Mayyat Iss Ki Zaib-e-Dosh Hai
Akhri Shayar Jahan Abad Ka Khamosh Hai
Ab Kahan Woh Bankpan, Woh Soukhi-e-Tarz-e-Byaban
Aag Thi Kafoor-e-Peeri Mein Jawani Ki Nihan
Thi Zuban-e-Dagh Par Jo Aarzu Har Dil Mein Hai
Laila-e-Maani Wahan Be Parda, Yaan Mehmil Mein Hai
Ab Saba Se Kon Puche Ga Sukoot-e-Gul Ka Raaz
Kon Samjhe Ga Chaman Mein Nala-e-Bulbul Ka Raaz
Thi Haqiqat Se Na Ghaflat Fikar Ki Parwaz Mein
Aankh Taeer Ki Nasheman Par Rahi Parwaz Mein
Aur Dikhlayen Ge Mazmoon Ki Humain Bareekian
Apne Fikr-e-Nukta Aara Ki Falak Pemaeeyan
Talakhi-e-Doran Ke Naqhe Khainch Kar Rulwayen Ge
Ya Takhiyul Ki Nayi Dunya Humain Dikhlayen Ge
Iss Chaman Mein Hon Ge Paida Bulbul-e-Sheeraz Bhi
Saikron Sahir Bhi Hon Ge, Sahib-e-Ijaz Bhi
Uthain Ge Azar Hazaron Shair Ke Butkhane Se
Mai Pilayen Gen Aye Saqi Naye Pemane Se
Likhi Jaen Gi Kitab-e-Dil Ki Tafseerain Bohat
Hon Gi Ae Khawab-e-Jawani! Teri Taabeerain Bohat
Hu Bahu Khainche Ga Lekin Ishq Ki Tasveer Kon?
Uth Gya Nawak Fagan, Mare Ga Dil Par Teer Kon?
Ashak Ke Dane Zameen-e-Shair Mein Bota Hun Main
Tu Bhi Ro Ae Khak-e-Dilli! Dagh Ko Rota Hun Main
Ae Jahan Abad, Ae Sarmaya-e-Bazm-e-Sukhan!
Ho Gya Phir Aaj Pamal-e-Khazan Tera Chaman
Woh Gul-e-Rangeen Tera Rukhsat Misal-e-Bu Huwa
Ah! Khali Dagh Se Kashana-e-Urdu Huwa
Thi Na Shaid Kuch Kashish Aesi Watan Ki Khak Mein
Woh Mah-e-Kamil Huwa Pinhan Dakkan Ki Khak Mein
Uth Gye Saqi Jo The, Mai-Khana Khali Reh Gya
Yadgar-e-Bazm-e-Dehli Aik Hali Reh Gya
Arzoo Ko Khoon Rulati Hai Baidad-e-Ajal
Maarta Hai Teer Tareeki Mein Sayyad-e-Ajal
Khul Nahin Sakti Shakayat Ke Liye Lekin Zuban
Hai Khazan Ka Rang Bhi Wajah-e-Qayam-e-Gulistan
Aik Hi Qanoon-e-Alamgeer Ke Hain Sub Asar
Bu-e-Gul Ka Bagh Se, Gulcheen Ka Dunya Se Safar
📌 Poetry & Translation from: [ Ссылка ]
📌 Facebook: [ Ссылка ]
📌 Instagram: [ Ссылка ]
#DAGH #Allamaiqqbal #Bang_e_dra #UrduPoetry #Hindu #Muslims #Kalam_e_Iqbal #D
🎵 Music:
Ana (Canim Annem)
By
Sekin Bilalova
Ещё видео!