#stoploss #trading #angelone
Trailing Stop Loss
Kuch kamane ke liye apko saalon tak kadi mehnat karni parti hai but wahi chiz gawane me zara bhi time ni lagta. Isi wajah se stock market me trading ya investing karte waqt brokers apko stop loss lagane ka option dete hain. Iske sath aap losses ko control kar sakte ho aur ek pal me apne paiso ko arsh se farsh par girne se bacha sakte ho.
Ab stop loss ke concept se to sabhi waaqif hain. Ye use hi isliye karte hain ki apka loss kam se kam ho. Jaise agar 100 ka share liya aur stop loss 98 par set kiya to ab market chahe jitni bhi niche gire, apko bas 2% ka hi loss hoga.
Itna to sab jaante hain but kya aap jaante ho ki kai baar stop loss lagane ke bad bhi apka bada loss ho sakta hai. Jaise agar 100 ka share 120 par pahuchke wapas 98 par aa gaya to dikhane ke liye to apka loss bas 2 rupaye ka hua par apka actual loss is case me hua 22 rupaye ka.
Isise bachane ke liye market me brokers late hain trailing stop loss. Matlab jaise jaise apke share ka price upar jayega, waise waise hi stop loss ki value bhi. For example agar share price 100 se 120 hui to apka stop loss bhi 98 se 116 ho jayega aur jaha pehle apko 22 rupaye ka loss ho raha tha, trailing stop loss ke sath ye loss 16 rupaye ke profit me badal jayega.
Is feature ko provide karane wala ek broker hai Sharekhan. Isliye aap jab bhi Sharekhan app use karke shares kharide, isko use karke apne losses ko kam aur profits ko maximize kar le.
Ещё видео!