Uff ye bedard siyaahi, ye havaa ke jhoNke
kis ko ma’loom hai is shab ki sahar ho k na ho
ik nazar tere dareeche kii taraf dekh to louN
Doobati aaNkhoN meiN phir taab-e-nazar ho k na ho
abhi roshan haiN tire garm shabistaaN ke diye
neelagooN pardoN se chhantii haiN shuaaeiN ab tak
ajnabi baahoN ke halqe meiN lachakti hoNgii
tire mahke hue baaloN ki ruaayeiN ab tak
sard hoti hui batti ke dhueiN ke hamraah
haath phaailaaye baRhe aate haiN bojhal saaye
kaun poNchhe miri aaNkhoN ke sulagte aaNsoo
kaun uljhe hue baaloN ki girah suljhaaye
aah ye Ghaar halaakat, ye diye ka mahbas
umr apni inhiiN taareek makaanoN meiN kaTii
zindagii fitrat-e-behis ki puraani taqseer
ik haqeeqat thi magar chand fasaanoN si kaTii
kitnii aasaaisheiN haNstii rahiiN aivaanoN meiN
kitne dar meri javaanii pe sadaa band rahe
kitne haathoN ne bunaa atlas -o-kamkhwaab magar
mere malboos ki taqdeer meiN paiwand rahe
zulm sahte hue insaanoN ke is maqtal meiN
koii fardaa k tasavvur se kahaaN tak bahle
umr bhar raiNgte rahne kii sazaa hai jeenaa
ek do din kii azeeyat ho to koii sah le
vahii zulmat hai fazaaoN pe abhi tak taarii
jaane kab Khatm ho insaaN ke lahoo kii taqteer
jaane kab bikhre siya-posh fazaa kaa joban
jaane kab jaage sitam Khurdah bashr ki taqdeer
abhi roshan haiN tere garm shabistaaN ke diye
aaj maiN maut ke GhaaroN meiN utar jaaouNgaa
aur dam toRtii battii ke dhueiN ke hamraaH
sarhad-e-marg-e-musalsal se guzar jaaouNgaa
Glossary
siyaahi = darkness
shab = night
taab-e-nazar = The strength to see (dekhne ki shakti)
shabistaaN = bedroom
neelagooN = half open
halqe = circle
Ghaar halaakat = ruined cave, ruined hole, pit
mahbas = place
tareek = dark
fitrat-e-behis = senseless (or insensible) nature
taqseer = defect, mistake
aashaisheiN = comforts
aivaanoN = palace (royal)
atlas-o-kamkhwaab = satin cloth
malboos = clothes
paiwand = patches
maqtal = Place of slaughter
fardaa = tomorrow
azeeyat = suffering, pain
zulmat = darkness
taari = reigning
taqteer = dropping, passing, distillation
siya-posh = dark
sitam-khurdah = battered, oppressed
bashr = man
sarhad = border
marg-e-musalsal = death (continuing death)
Sahir Ludhianvi (8 March 1921 – 25 October 1980) was an Indian poet and film lyricist, who wrote in the Hindi and Urdu languages. His work had an extensive impact on Indian cinema, in particular the Hindi language Bollywood film industry. He won the Filmfare Award twice, in 1964 and 1977, and in 1971 was awarded the Padma Shri. He was also honoured with the issuance of a commemorative stamp on 8 March 2013, the 92nd anniversary of his birth.
Created by : Manish Gupta
© Active Illusions [Film.Bombay@gmail.com]
Ещё видео!