#kalkimovie #prabhas #kalki2898AD
Karna vs Arjun: The Ultimate Warrior Showdown
Karna aur Arjun dono hi apne samay ke mahaan yoddha the, lekin logon dwara kai baar pucha jaata hai, ki Karna aur Arjun mein mahaan kaun hai? Karna aur Arjun mein adhik shaktishaali kaun hai? Ya Karna aur Arjun mein shreshth dhanurdhar kaun hai? Kisi ko Arjun pasand hai toh wo Arjun ki badai karte hain aur kisi ko Karna pasand hai toh wo Karna ki tareef karte hain. Lekin Mahabharat ka mukhya nayak Arjun hi hai, kyunki Mahabharat ki kahani Arjun ke hi ird-gird ghoomti hai, jabki Mahadani Karna bhi apni danveerata ke karan itihaas mein amar hain. Halaanki kai yuddhon ka vishleshan karne ke baad yeh kaha ja sakta hai ki Arjun, Karna se adhik kushal aur yogya dhanurdhar hai, par Karna ke maamle mein bhi aisa nahi hai ki unhe bahut aasan se haraya ja sake, wo bhi bahut hi shaktishaali aur acche dhanurdhar the. Lekin jab bhi Karna ka Arjun se muqabla hua hai, chahe wo Draupadi swayamvar mein Karna ka dhanush kaatna ho ya fir Viratyudh mein saat maharathiyon ke saath Karna ko akele parajit karna, yeh siddh karta hai ki Arjun Karna se adhik shaktishaali yoddha tha. Lekin phir bhi kya ho agar ek saadharan dhanush, rath aur saadharan saarathi ke saath Karna aur Arjun ke beech ek yuddh ho to use kaun jeetega? Is sthiti mein bhi Arjun ki jeet hogi kyunki wo Karna se behtar yoddha tha isliye nahi ki uske paas daiviya hathiyar, divya rath aur Gandiv dhanush tha, balki isliye ki teerandaazi mein bhi wo Karna se bahut aage tha. Arjun ko Savyasachi bhi kaha jata hai, jiska arth hota hai ubhayhast yani ki Arjun apne dono haathon se samaan roop se yuddh karne mein sahaj tha. Wo dono haathon se samaan dakshata ke saath baanon ki varsha karne mein saksham tha. Jisse ek haath ghayal hone ya thakne ki sthiti mein, wo doosre haath se yuddh jaari rakh sakta tha. Arjun bina dekhe sirf awaaz sunkar andhere mein bhi nishane ko sahi roop se bhed sakta tha. Matlab din ki tarah raat mein bhi yuddh kar sakta tha. Iska pramaan tab milta hai jab Duryodhan Kuru sena samet Gandharvon dwara bandi bana liya jaata hai, saath hi uske saath Karna bhi unse aasan se haar gaya tha. Tab Arjun ne Chitrasen ki sena ko haraya tha, lekin andhera hone ke karan Chitrasen adrishya ho gaya, tab bhi Arjun usse ladne aur antatah usse harane mein saksham tha. Wo poore 2 mile ki doori tak nishana laga sakte the, yuddh ke 14ve din jab wo Jayadrath jiski raksha poori Kaurav sena aur maharathi kar rahe the, tab Arjun ne apni isi kushalta ka prayog kiya tha. Bhookh, pyaas, neend aur thakaan par unka poora niyantran tha. Arjun in sabhi ko control kar sakta tha. Aur bina kuch khaye, piye aur bina aaraam kiye yuddh lad sakta tha. Karna ke sabhi hathiyar uske guru ne usse diye the, jabki Arjun ne badi tapasya ki aur swayam ke hathiyar prapt karne ke liye jungle mein rehkar kathin sadhana ki. Karna aur Arjun dono ke hi jeevan sangharsh se bhare the, lekin Arjun ke jeevan mein pag-pag mein badi badi badhaayein thi. Wahi Karna ka jeevan bhi Arjun se kahin behtar tha !
Keywords:-
Kalki karna vs Arjun scene // kalki karna vs arjun // karna vs arjun // kalki karna vs arjuna // kalki karna vs arjuna fight scene// kalki karna vs arjun fight // kalki karna vs Arjun scene hindi // karna death scene // kalki vs karna // kalki movie karna vs arjun fight // kalki karna vs ashwathama
About me: I am making YouTube video's on the topic related to ramayan, if you enjoyed our content so you guys can subscribe our channel to make begin of this beautiful journey
Business enquiry: roshanmishra.5912@gmail.com
#kalki #prabhas #kalki2898ad
Ещё видео!