Kalam Title: Masjid e Kufa Hai Roza Dar Hai
Recited By: Ali Rizvi Sachay
Written By: Ali Mohammad Rizvi
Visuals & Creative Direction: AZH Productions
Audio: ODS
==============================
مسجد کوفہ ہے روزَہ دار ہے
فرق سے اونچی لہو کی دھار ہے
زخمِ سر ہے حیدر کرار ہے
دھیمی دھیمی نبض کی رفتار ہے
آہ دامادائے پیغمبر کے لیے
زہر میں ڈوبی ہوئی تلوار ہے
کہہ رہا ہے زخمے سر سے بہکے خون
دوسرا سجدہ بہت دشوار ہے
رات تک آباد تھا حق کا مکاں
صبح کو اجڑی ہوئی سرکار ہے
فرقِ پاکِ مرتضیٰ میں تلوار ہے
یا کلام اللہ میں تلوار ہے
خون میں ہے غرق دامادِ نبی
سانس کا لینا بہت دشوار ہے
Masjid e Kufa Hai Roza Dar Hai
Farq Se Oonchi Lahoo Ki Dhaar Hai
Zakhmay Sar Hai Haider E Karraar Hai
Dheemi Dheemi Nabz Ki Raftaar Hai
Aah Damaaday Payambar Ke Liye
Zeher May Doobi Huwi Talwaar Hai
Keh Raha Hai Zakhmay Sar Se Behkay Khoon
Doosra Sajda Bohot Dushwaar Hai
Raat Tak Aabad Tha Haq Ka Makaan
Subha Ko Ujhri Huwi Sarkaar Hai
Farqay Paakay Murtaza May Taigh Hai
Ya Kalaam Allah May Talwaar Hai
Khoon May Hai Gharq Daamaday Nabi
Saans Ka Lena Bohot Dushwaar Hai
FOLLOW AZH110 ON ALL PLATFORMS
Youtube: www.YouTube.com/AZH110DC
Facebook: www.Facebook.com/AZH110
Instagram: www.Instagram.com/AZH110
==============================
Ещё видео!