Main JANNAT Ke Shaukh Me Ibadat Nahi Karta Kyunki Yeh Ibadat Nahi TIJARAT Hai. Mein DOZAKH Ke Khauf Se Bhi Ibadat Nahi Karta Kyunki Yeh Ibadat Nahi GULAMI Hai. Main Ibadat Sirf Isliye Karta Hoon Kyunki Mera Rab IBADAT KE QABIL HAI Aur Koi Nahi.
- Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Daulat Milne Par Log Badalte Nahi, Balki Be-Naqaab Hote Hai.
- Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Jis Tarah Shabnam Ke Qatre Murjhaye Hue Phool Ko Taazgi Dete Hai, Usi Tarah Acche Alfaz Mayus Dilon Me Roshni Bharte Hai.
- Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Jab Tumhari Jaan Ko Khatra Ho To Sadqa De Kar Jaan Bachao Aur Jab Tumhare Deen Ko Khatra Ho To Jaan De Kar Deen Bachao..
- Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Zindagi Ko Zaruriyat Ki Taraf Le Jao Khwahishat Ki Taraf Nahi. Kyunki Zaruriyat To Faqeeron Ki Bhi Poori Hoti Jati Hai Aur Khwahishat Baadshahon Ki Bhi Adhoori Reh Jati Hai.
- Imam Ali Radiallahu Anhu
Agar Kisi ka Zarf Aazmana ho to use Zyada Izzat Do, Wo Aala Zarf Hua to Aap ko aur Zyada Izzat Dega. Aur Agar Kam Zarf hua to Khud ko Aala Samjhega.
- Imam Ali Radiallahu Anhu
Jis ka Rabita Allah Se ho Wo Naakam Nahi Hota, Nakam Wo Hota Hai Jis ki Ummidain Dunia Se Wabasta Ho.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu
Jab Tum Duniya ki Muflisi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa diya karo aur ALLAH se Tijarat karo.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu
NAMAZ ki Fikr Apne Upar Farz Karlo, Khuda Ki Qasam Duniya Ki Fikr Se Azad Hojaoge Aur Kamyabi Tumhare QADAM Choomegi.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu
KHAMOSH Raho Ya Aesi Bat Kaho Jo KHAMOSHI Se Behtar Ho Ae Jawano: Adab k Zariye Apni izzat aur ILM Ke Zariye Apne Deen ki Hifazat karo.
- Imam Ali Radi Allahu Anhu
(Aye Ibne Aadam)! Ilm Haasil Kar, Ilm Dil Ko Roshni Deta Hai, Doulat Ki Laalach Se Bach, Doulat Ki Laalach Andha Bana Deti Hai.
- Imam Ali Radi Allahu Anhu
Tum Accha Karo Aur Zamana Bura Samjhe Yeh Tumhare Haq Me Behtar Hai Bajaye Iske Tum Bura Karo Aur Zamana Tum Ko Accha Samjhe.
- Imam Ali Radi Allahu Anhu
4 Khaleefa ke 4 Aqwal:
"Aise Shakhs ko Dost rakho jo Naiki kar k Bhool jaye".
(Hazrat Abu Bakar Radiallahu Ta'ala Anhu)
"Insan Zuban k parde me Chupa ha"
(Hazrat Usman e Gani Radiallahu Ta'ala Anhu)
"Insan Zuban k parde me Chupa ha"
(Hazrat Usman e Gani Radiallahu Ta'ala Anhu)
"Humesha Such bolo ta k Tumhe Qasam kane ki zarurat na pare"
(Maula e Kainaat Mola Ali Radiallahu Ta'ala Anhu)
Akhlaq Aik Dukan Hai, Aur Zuban Uska Tala, Tala Khulta Hai To Pata Chalta Hai K Dukan Sonay Ki Hai Ya Ko'aly (Koila) Ki.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu
Agar Log Namaz-e-Fajr Ka Sawab Aur Fazeelat Ko Jaan Le To Raat Ko Is Khauf Se Sona Chhod Denge Ki Kahi Neend Ki Wajah Se Namaz Na Choot Jaye.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu
Apna Behatreen Waqt Namaz Ke Liye Muqarrar Kar Do, Kyunki Tumhare Sab Kaam Tumhari Namaz Ke Baa'is Qubool Honge.
- Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu
Hazrat Ali Radiallahu Ta'ala Anhu Se Kisi Ne Poocha "ILM Kya Hai?"
To Aap Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Farmaya, "Agar Koi Tum Pe Zulm Kare To Use Mua'af Kar Do, Ager Ta'aluq Torey Tou Jod Lo, Agr Koi Tumhai'n Mehroom Karey To Usey Nawaz Do, Agar Kisi Se Intiqam Lena Ho To Dar-guzar Kardo, Ghussey Main Aisi Baat Na Karo K Baad Main Nadamat Ho" Ye "ILM" Hai.
Jab Insaan Ki Aqal Mukammal Ho Jati Hai, To Uski Guftagu Mukhtasar Ho Jati Hai.
- Imam Ali Radi Allahu Anhu
Wo Gunah Jis Ka Tumhe Ranj Ho, ALLAH Ke Nazdeeq Us Neki Se Behtar Hai Jis Se Tum Me Ghuroor Paida Ho Jaye.
- Mola e Kainat Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu
Jisne Kisi Ko Akele Mai Nasihat Ki Usne Usse Sawar Diya aur Jis ne Kisi Ko Sab Ke Samne Nasihat Ki Usne Usko Mazeed Bigaad Diya.
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Yeh Duniya Kitni Ajeeb Hai Imaandar Ko Bewaqoof, Be-Imaan Ko Aqalmand, Aur Behaya Ko Khoobsurat Kehti Hai.
- Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Jab Aankhein Nafs ki Pasandeeda Cheezein Dekhne Lage To Dil Anjaam Se Andha Ho Jata hai.
- Imam Ali Radiallahu Anhu
Gusse ki haalat me koi faisla mat karo aur agar khush ho to koi vaada mat karo.
- Moula Ali Radi Allahu Anhu
Insaan Ko Acchi Niyyat Pe Wo Inaam Milta Hai, Jo Use Acche Aamal Par Bhi Nahi Milta.
- Moula Ali Radi Allahu Anhu
#molaali #hazratali shan e hazrat ali
shan e hazrat ali in urdu
imam hazrat ali quotes
shan hazrat ali
shan e ali hadees
shan e ali
shan e ali in urdu
shan e hazrat ali fazal
shan e hazrat ali farman
shan e hazrat ali faizan
shan e hazrat ali ka farman
shan e hazrat ali ki baatein urdu
shan e hazrat ali ka waqia
shan e hazrat ali lyrics
shan e hazrat ali ne farmaya
shan e hazrat ali namaz
shan e hazrat ali online
shan e hazrat ali on youtube
shan e hazrat ali on facebook facebook page
[ Ссылка ]
Ещё видео!