1. Toh shuruwaat karte hain dono gaadiyon ki Keemat se:
Doston, Tata ka saat-sau-das S.F.C. Mahindra Furio-seven ke, dhai-hazaar-cc engine-waale model-se lagbhag ded-laakh-rupay mehenga hain, jo kaafi bada fark hain. Lekin achraj ki baat ye hain, ke teen-hazaar-cc engine waala tata-saat-sau-das, Furio-ke, sade-teen-hazaar-cc engine waale model se bhi, ek laakh rupay mehenga hain! Kya Tata ki mehengi keemat jayaz hain? Chaliye dekhte hain..
Tata 710 SFC Price ₹16.6 to ₹17.3 Lakh (for 17 Lakh, EMI = 32,000, for down payment of 2 Lakh)
Furio 7 Cargo ₹15.2 to 16.2 Lakh (for 15.7 Lakh, EMI = 29,000, for down payment of 2 Lakh)
Furio 7 Cargo HD ₹15.6 to 16.4 Lakh (for 16 Lakh, EMI = 30,000, for down payment of 2 Lakh)
*all prices Ex showroom Delhi
2. Doston, doosra sab-se mahatwapoorn mudda hain inn gaadiyon ka Payload:
Tata saat-sau-das SFC ka Payload ka passing - yane ke loading-ke-kshamata-ki-anumati, Furio-seven-se, teen-chaar-sau kilo behtar hain. Aur isi wajah se sawa-sau h.p. power wala Furio HD aap ke kisi kaam ka nahi. Mana ke usmein lambi, chaudah-foot ki load body ka paryaay uplabdh hain, lekin usmein bhi aap jyada-se jyada teen-hazaar-aath-sau-pachaas kilo maal bhar payenge. Tata saat-sau-das SFC ke load body ki lambai, sirf sade-bara foot hain, yane ke Furio se ded-foot kam, lekin usmein aap chaar-hazaar-teen-sau kilo tak maal bhar payenge. Toh agar, aap ka truck full-load pe chalne waala hain, toh Furio mein aap ko, saat-sau-das-ke mukable, aap ki har mahine ki kamai-mein lagbhag bees hazaar rupay ka ghaata hoga. Kaise? Maan lo aap ke truck ka, har-mahine aath hazaar kilometer tak running rahega aur che-rupay-prati-kilometre-prati-ton ke aas-paas freight-rate chal raha hain, toh chaar-sau kilo ki loading kshamata ke fark-se, mahine ki kamai mein unnis-se-bees-hazaar rupay ka fark toh aayega. Toh bade-engine waala Furio khareedne ka kuch fayda bhi hain ya nahi? Chaliye aage dekhte hain..
Tata 710 SFC Payload: FSD - 4.31 ton, HDLB - 4.26 ton, CBC - 4.85 ton
Furio 7 Cargo Payload - 10.5-feet deck - 4.075 ton, 14-feet deck - 3.94 ton
Furio 7 Cargo HD Payload - 10.5-feet deck - 3.975 ton, 14-feet deck - 3.84 ton
Load Body Dimensions:
Tata 710 SFC Load Body (3800 mm Wheelbase): Length - 3790 mm (12.4 feet), Width - 2117 mm (7 feet), Height - 1825 mm
Furio 7 Load Body (2750 mm Wheelbase): Length - 3200 mm (10.5 feet), Width - 2005 mm (6.6 feet), Height - 1380 mm
Furio 7 Load Body (3320 mm Wheelbase): Length - 4267 mm (14 feet), Width - 2005 mm (6.6 feet), Height - 1380 mm
3. Pick-up:
Doston sawa-sau hp waale Furio model ka ek faayda jaroor ho sakta hain, agar wah highway-pe, lambi trip karne waala hain, toh aap saat-sau-das-se behtar turn-around-time haasil kar sakte ho, lekin doosri aur aisa bilkul nahi ke saat-sau-das ka sau-hp waala engine kamjor hain, ya paryapt pick-up nahi de paata, itna yaad rakhna ke yahi engine Tata ke nau-ton G.V.W. waale Ultra model pe bhi kaam karta hain. Darasal traffic aur apne raston ki haalat dekhte hue, saat-sau-das aur Furio HD ke turn-around-time-mein aap ko unnis-bees ka fark milne waala hain. Ab rahi baat assi-horsepower waale Furio ki, toh ye kuch transporters ke liye saat-sau-das se jyada faaydemand saabit ho sakta hain. Khaas kar jo halke wajan ka maal dhowte hain, jaise parcel-courier, phal-aur-sabjiyaan ityadi. Kaise? Chaliye aage dekhte hain..
Tata 710 SFC Torque: 300 Nm @ 1200-2200 rpm
Furio 7 Cargo Torque: 220 Nm @ 1250-2200 rpm
Furio 7 Cargo HD Torque: 375 Nm @ 1300-2000 rpm
Tata 710 SFC Power: 99 hp @ 2800 rpm
Furio 7 Cargo Power: 81 hp @ 3200 rpm
Furio 7 Cargo HD Power: 123 hp @ 2500 rpm
Tata 710 SFC Engine Displacement: 2956 cc, 4-cylinder (4SPCR BS6)
Furio 7 Cargo Engine Displacement: 2.5 lit, 4-cylinder (mDI Tech BSVI)
Furio 7 Cargo HD Engine Displacement: 3.5 lit, 4-cylinder (mDI Tech BSVI)
4. Mileage:
Dosto, assi hp waali Furio mein wohi jaana-maana Bolero-ka engine laga hua hain, jo Furio ke wajan ke anusaar bilkul sahi hain. Agar aap apne truck mein aise samaan dhowne waale ho, jo aakaar mein bada hain lekin wajan mein halka hain, toh assi-horsepower waali Furio aap ke liye bilkul uchit hain. Diesel ke kharche mein aap saat-sau-das ke mukaable, har mahine lagbhag das-hazaar rupay bachenge. Iski iklauti wajah hain assi-h.p.-waali Furio ka mileage, jo Tata saat-sau-das se lagbhag das pratishat behtar saabit ho raha hain. Humare vishleshan ke dauraan hum jin Furio garahakon se mile, unko unki kuch-mahine puraani, Tata saat-sau-das se ek kilometre prati liter behtar mileage mil raha hain - yane ke Furio ka lagbhag sade-nau-se-das k.p.l. aur Tata ka sade-aath-se nau k.p.l. Toh har mahine aath hazaar kilometer ke running ke hisaab se, Furio mein nau-das-hazaar rupay kharcha bachta hain. Furio ka ek aur faayda hain, jo usko shehri traffic mein chalane ke liye jyada uchit banaata hain. Kaunsa? Chaliye dekhte hain..
Tata 710 SFC Fuel Efficiency: 8.6 kpl (Rated Load)
Furio 7 Cargo Fuel Efficiency: 9.6 kpl (Rated Load)
Furio 7 Cargo HD: 8.6 kpl (Rated Load)
Ещё видео!