98/100 : NIDHIVAN (Radha-Krishn Geet)
NIDHIVAN (Radha-Krishn Geet) is a song based on the mystery of Nidhivan forest, situated in Vrindavan, India. It is believed that Lord Krishn & Radha alongwith his 16,108 Gopis, come there every night and perform ‘Rasleela’! Whoever sees them doing this, either goes mad, becomes blind or dies! Post evening even animals and birds leave the forest! This song tries to imagine this ethereal phenomenon from the perspective of a Lord-Krishn Devotee!
Lyricist : Hrutul
Composer : Hrutul
SINGER : Tirth Thakkar, Krishani Gadhvi
Music producer : Treehouse studio
Visual-Director : Hrutul
Video-editor : Smit Patel
#100weeks100songsChallenge
———————————————
A new original every weekend,
Search ‘HRUTUL’ on any Spotify/YouTube or any other music platform to stream all my songs 🎵
SPOTIFY PLAYLIST ------ [ Ссылка ]
SPOTIFY SONG LINK ------
[ Ссылка ]
YOUTUBE MUSIC ------
APPLE MUSIC ------
[ Ссылка ]
WYNK MUSIC ------
[ Ссылка ]
SAAVN ------
[ Ссылка ]
————————————————————————————————————
LYRICS :
Nidhivan ki, raatri ek,
Ajooba jo behlaaye mere mann ko,
Raatri ek kalpa samaan par,
Kanha ki murli dohraaye ek hi dhun….
Kanha to tujh bin aadha aadha,
Kanha to tujh bin,
Kanha to tujh bin aadha aadha,
Kanha to tujh bin…
Radha, Radha, Radha rani…
Tere bol jaise paani
Radha, Radha, Radha rani…
Tu hai gud aur main hu dhaani!
Radha, Radha, Radha rani…
Tere bol jaise paani
Radha, Radha, Radha rani…
Tu hai gud aur main hu dhaani!
Kanha to tujh bin aadha aadha,
Kanha to tujh bin,
Kanha to tujh bin aadha aadha,
Kanha to tujh bin…
Sayan aarti ke paschaat koi,
Pashu na pakshi jaaye iss van mein,
Kalpana karo ke, rang mahal ke,
Shringaar ki chamak hogi kaisi?
Shwet ya sunehri,
Gulaabi ya firozi,
Gopiyaan aneri,
par, kanha kanha manmohana,
Gaaye ek hi dhun…
Radha, Radha, Radha rani…
Mere bol jaise paani
Radha, Radha, Radha rani…
Main hoon gud aur tu hu dhaani!
Radha, Radha, Radha rani…
Mere bol jaise paani
Radha, Radha, Radha rani…
Main hoon gud aur tu hu dhaani!
Sola hazaar aur ek sau aanth,
Gopiyon ke nain mein, kanha ki aas,
Yogmaaya se vo rachaaye raas,
Saadhna barso ki, ye na koi bhaas…
Mantro se mukt kare, man ko ye trupt kare,
Har bhakt ki aas ko, utsaah se purn kare!
Utsaah ka utsav ye, utsaah ka utsav,
Rasleela to ek utsaah ka utsav!
Utsaah ka utsav ye, utsaah ka utsav,
Aatma paramaatma ke har ras ka utsav!
Utsaah ka utsav ye, utsaah ka utsav,
Rasleela to ek utsaah ka utsav!
Utsaah ka utsav ye, utsaah ka utsav,
Aatma paramaatma ke har ras ka utsav!
————————————————————————————————————
#100weeks100songsChallenge
#ThisIsMyStoryJAMS 💜
#hrutul #originalsong
#indianmusic #ideaswithhrutul
#songcomposer #songwriter #nidhivan #krishna #radhakrishna #radhakrishnasong
Ещё видео!