#Balochi dish ( Tabaheg)
#Dried meet recipe
#Anar Dana wale gosht se chawal banana
#How to make Mutton rice with new recipe
# Gosht ko lambe wakt tak mehfooz karne ka tarika
#Mutton pllao
********************************************
Is vedio me me share karne jarahi hon gosht ko sooka Kar istemal karne ka tarika jis se gosht ko lambe wakt istemal kia ja sakta he or zayka bi zabardast hota he.
ye tarika takreeban serf balochon me hota he gosht ko anardana laga Kar tez doop me tanga jata he 10 se 15 dino me sook Jane par istemal kia Jata he jise Tabaheg kaha Jata he. kia ap is recipe ke bare me mazeed jante hen to please comment Kar k zaror bataen.
Ajza:
Bakre ka gosht=jitna b banana ho
Anar dana powder=1kg
Salt=1/2kg
chawal=1kg
Tel=2cup
peyaz=1
Garam masala powder=1 Tbs
Tarkeeb:
Bakre ka gosht le ose Kat laga den itna Kat lagaen k gosht patla Nazar ajae peche se Kat lagana he ab namak lagae achi Tara Charon taraf namak laga Kar rak den 6,8 ghantte k lie ya pori rat tak lekin thandi ya Hawa dar jaga rakhen take gosht kharab na ho.
ab ghosht ko dho len.Anar Dana or namak ko mix Kar Len or Pani se goondh Len na patla ho na gada darmiyana ho.ab is mixture ko gosht par achi Tara lagen.ghosht ko taraf se soorakh Kar Len or kisi rasi se bhand Len or bahir tez dhoop pe tang den 10se15 din bad otar den or kisi naram kapde me rakh Kar freg me ya hawadadar jaga rakh de lambe wakt tak istemal Kar sakte hen.
Recipe:
cooker me Pani Dale or soki gosht sal den 40 mint tak pakne den.
chawal 1/2 ghantte k lie bhego den.
ab alag degchi me 2 cup Tel dalen 1 peyaz Kat kr sal den peyaz golden hojae to goht wala Pani dal den(yakhni).
2 Tbs garam masala powder dal den
1 Tbs namak sal den obal ajae to chawal den pakne den chawal ka Pani khushk hojae to dhakan band Kar k haki aag pe 5 mint dam den
mazedar (Tabaheg)tayar he.
Ещё видео!