Nohay 2023 | Abulfazl Al Abbas ع | Abutalib Sultanpuri Nohay 2023 | New Faryadi Nohay 2023 | New Nohay 2023 | Muharram Nohay 2023 1445 Hijri
#nohay #nohay2023 #muharram1445 #muharramnohay #muharramnoha
Title - Noha Mola Abbas ع | Noha 1445/2023
Related - Faryadi Noha, Munajaat, Noha Hazrat Abbas ع
Reciter - Syed Abutalib Sultanpuri (Sahib E Byaz Anjuma Sipah E Hussaini Bhanauli Sadat)
Poet & Composition - Syed Nadeem Sultanpuri
Audio - ODS (Umar Quraishi)
Edit by - Zahid Ali
DOP - Imran Ali
Video & Production - @AzadariChittora
Lyrics -
Aye Alamdare Wafa Abul Fazlil Abbas
Aye Sakina Ke Chacha Abul Fazlil Abbas
1.
Besaharo Ka Sahara Bekason Ki Aas Ho
Aap Ho Babul Hawaaij Muflison Ki Aas Ho
Dardo Gham Mein Aap Hi Tute Dilon Ki Aas Ho
Sun Lo Meri Bhi Dua Abul Fazlil Abbas
3.
Didar Ki Chahat Mein Main Kab Se Tadapta Hun
Ek Baar Mujhe Shah Ka Darbar Dikha Dije
Akbar Ki Jawani Ki Hai Tumko Qasam Ghazi
Bas Karbala Mujhko Ab Jald Bula Lijiye
Hazari Kuch Is Tarah Se Rauza e Sarwar Pe Doon
Ho Meri Maa Saath Jab Main Haath Jali Par Rakhun
Wo Padhe Akbar Ka Nauha Aur Matam Main Karun
Khwaab Sach Kar Do Mera
4.
Wo Yateema Marke Bhi Jisko Rihaai Na Mili
Vaasta Uska Hai Jiski Qabr Zindaan Mein Bani
Hain Asire Zulm Shahe Deen Ke jitne Matami
Unko Karwa Do Riha Abul Fazlil Abbas
2.
Saal Bhar Gurbat Ka Shikwa Na Karega Ye Ghulam
Aap Kar Dije Meri Khatir Bas Itna Intezam
Main Muharram Mein Karun Dil Khol Ke Har Ehtemam
Aye Mere Haajat Rawa Abul Fazlil Abbas
2.
Tauk Ke Kaanto Ne Zakhami Kar Diya Jiska Gala
Aapko Us Natvan Sajjad Ka Hai Vaasta
Hain Azadaroon Mein Jitne Bhi Mareeze Ladwa
Dijiye Unko Shifa Abul Fazlil Abbas
5.
Aye Nigahbane Haram Aye Chadron Ke Pasbaan
Hain Gham-e-Zainab Mein Jitne Matami Giriya Kunan
Har Museebat Se Rahen Mahfooz Unki Betiyan
Aap Se Hai Iltija Abul Fazlil Abbas
6.
Maine Haathon Ka Sahara Jab Liya Girte Hue
Der Tak Rota Raha Main Us Ghadi Ye Soch Ke
Aap Ke Bazu Na The Jab Aap Ghode Se Gire
Dil Bahut Tadpa Mera
7.
Hum Bhula Sakte Nahi Wo Dard ka Manzar Kabhi
Seena e Sarwar Pe Zalim Jab Chadha Le Kar Chhuri
Shah Ko Tadpane Lagi Us Waqt Bhai Ki Kami
Roke Sarwar Ne Kaha Abul Fazlil Abbas
8.
Shimr Ka Pehla Tamacha Jab Sakina Ko Laga
Baap Ka Sar Noke Naiza Par Tadap Kar Rah Gaya
Dekh Kar Hasrat Bhari Nazron Se Suye Alqama
Di Kate Sar Ne Sada Abul Fazlil Abbas
9.
Jis Ghadi Waqt-e-Rihai Sar Shahidon Ke Mile
Aye Nadeem Us Dam Kaha Ye Zainabe Dilgir Ne
Aye Mere Gayyur Bhai Ab To Aankhen Khol De
Mil Gayi Mujhko Rida.
Ещё видео!